Friday, January 7, 2011

YAADAIN .......

````zindagi aye zindagi !!
aa baithain kahin peepal ki chaown mein ....
aa sath tere main sametun kisse isi gawn mein .....


school k rikshe par ,bhaiya ji ke sang wo gane...
orange icecream  khane ko wo  pal pal hum bhage ..

padosi ki bagiya se phool churakar jo bacche sare bhage ..
mummy ki daannt se bachne ko na jane kya kya bahane mare ..

saheli k sang wo golgappe k thele par liye chatkare ...
isi bachpan main kiye humne doston se bade bade wade ....

kabhi socho to h sab ye kisse kahaniyan purane ....
zindagi k bikhrae pannon main samato to hain ye pyari yaadain ...


zindagi aye zindagi !!
aa baithain kahin peepal ki chaown mein ....
aa sath tere main sametun kisse isi gawn mein .....


are sawan main teejon par wo menhadi jo lagwayain ..
choti badi sabhi peepal k jhoolon par ladd jayain ...

kacche aam ki fuljhariyan aur ek imli k peeche ki wo ladaiyan ...
roothna manana ....fir hans kar hath milane  ki sunwayiyan ...

sabse chup k ..papa ki shirt aur mummy ki sari pahanane ki koshishain ...
pen se mooch banakar sheeshe main dekh bhagwanji se khud ko jaldi bada karne ki arziyaan ..

kabhi socho to h sab ye kisse kahaniyan purane ....
bade hokar yaad aati hain wo choti-2 pyari-2 naadaniyan ......

zindagi aye zindagi !!
aa baithain kahin peepal ki chaown mein ....
aa sath tere main sametun kisse isi gawn mein .....

No comments: