Friday, December 18, 2009

TANHAYI !

" meri tanhayi main aksar jikara tumahara hua karta h ..
adhoori aankhon main hamesha basrera tumahara hua karta h ...


kabhi !! raste par akele jane par .....

wo patjhar k sookhe patton ki main ......
wo sooni sadkon ki tanhayi main ......
are wo chilchilati dhoop main parchayi main ....
pyasi chidiya ki talaash ki har sunwayi main ....


jane kyon ?? Aksar jikara tumahara hua karta h ........
man chahe ya na chahe , hamesha SABRA ka imtehan hamara hua karta h ....


kabhi !! raat ko sapne se achanak jagne par ...

wo dhundhali yadon k ahsaas main ...
dharatal se pare ..kalpna k aagosh main ...
neend bhari palkoon k koron k bheeg jane main ...
kabhi khud ko tujhmain dhoond paane main .....

jane kyon ??aksar jikra tumahara hua karta h .....
sard raaton ki tanhaayi main , teri chahat ka vishwas humara hua karta h .. ..


kabhi !! khud ko aayine main niharne par.... ..

kajrai aankhon k soonepan ki gahrayi main ...
meri kalayion ki chudiyon ki khanak ki khamoshi main...
maathe ki bindiya ki lali ki pahchan ki ruswayi main .....
uljhi laton ko suljane ki koshish ki hathapayi main ...


jane kyon ?? aksar jikara tumahara hua karta h ......
teri pahchaan main khud ko talashne ki koshish main .......
tanhayi main!!! aksar khud ki parchayi ka ehsaas hamra hua karta h ...."

Thursday, December 3, 2009

Wajood !!



Apne wajood ki talaash main , main jane kahan chalti ja rahi ..
kahin aisa to nhi , main khud ko hi bhulati ja rahi....


Shayad prashon k uttar ki talash main , naye prashn banati chali ja rahi ...
lagta h pal pal kahin ..., khud se hi door to nhi chali ja rahi ......


Swayam samragyi banne k chahat main , kahin dasi to nhi banti ja rahi ...
darr h man main kahin ki apno ka vishwas to nhi khoti ja rahi .....


Khud ko pahchanne k liye , khwabon ka basera banati ja rahi ....
poore honge kal ye shayad ..., isi aas ma5n mehnat ki iintain lagati ja rahi ..


Pankh failakar udne ki khwab sanjoye , ye chidiya pinjre main hi fadfada rahi ..
aadarshon aur samaj ki paramparaon ki kadiyon se na bahar ja paa rahi .......


Apni uddaan ki unchai ko .., na jane kyon sabhi ko samjhana chah rahi ..
Kyon apne vicharon ko .., doosaron ki soch k anusar sametati ja rahi ...


Apne wajood ki talaash main , main jane kahan chalti ja rahi ..
kahin aisa to nhi , main khud ko hi bhulati ja rahi....

WO THI ...............

WO THI.........


ek adhkhuli kamsin kali si ...
khwabon khayalon ki duniya main pali si ...
na janti thi wo rup rang ki pyas ..
na hi usko kisi bhanware ki aas...


EK DIN .....


jab usne duniya ko dekha ..
suraj ki tapish se khud ko jalte dekha ..
khud ko pal pal marte sa dekha .


TAB....


man main vicharon ka sailab aaya..
khwabon khayalon ki duniya se pare khud ko dharatal par paya.. .


KYA ....

khilkar muskurane main hi aaj tak ek pusp ne hai sab paya ..

AB ...
jeewan main khilne ko hi usne dhyeya banaya ..
par socha samjaha jeevan jeene se usne kya paya..


PAR..

kya wo hai ab jo kal..


WO THI.......

NEER !!

kyon hamesha palkon par girne se pahle hi ruk jate hain neer...
kyon unka nam zuban par aate hi sab kuch kah jate hain neer..
palkon ki sez par aajane bhar se kitni de jate hain ye peer..
wo kya jane inhe na dhalkne dene ki kasam humne bana li hai apni janzeer..



kabhi sanson ki gahrai main samakar baichain kar jate hain neer..
kyon na chahkar bhi bar bar dil ko fir wo tees de jate hain neer ...
kitna samjhaya khud ko for bhi akele main galon par dhalak kar labon ko bhigo jate hain neer..
wo kya jane unse door rahne se kya mila humain siwaya peer......

RANG ! !

zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..

kya hum hote aur kya hote hamare aachar vichar..

kale safed pannon main simat jata har vichar ka aakar..

hamarai soch main bhi na hoti rangon ki pukar..


aise main..
zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..

prem, ghrina, chama, purusharth aur chamtkar ..

kaise lete ye hamare man main alag alag aakar..

kuch soch kar bhi shayad hum na vistrat kar pate apna sansar..


aise main ..
zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..

kya rah jata koi fark suhagan aur abhagan main is prakar..

ek sansar k sagar k is par hai to duja us par..

koi batao mujhe kya hota is duvidha ka upchar..


aise main ..
zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..

rangon k bina khushbu se hi to nhi hoti phoolon ki jhankar..

chand ki chandni main bhi to nahi safedi ki chamkar....

samet lo bahain faila k hamara hi hai ye rang bhara sansar....

HAYA!!

khayal unka aate hi palkain jo jhuk si gayi......
kaise sambhalun dil ko na jane sansain youn ruk si gayi....

na ho saka deedar unka aaj tak ......

bas wo awazki kashish thi sunte hi jise main bahak si gayi...
haya se galon ki surkhi sab kuch kah jo gayi...
na hua khud par aitbar main khud mein hi simat si gayi ....

kash mil gayi hoti palkon ko uthane ki izajat......
haya ne na karne di humain kabhi aisi himakat .....

na jane kab hui unki reshmi awaz ki dil par mere inayat...
khud main simatne ko mazboor karti unki wo shararat...
chayi jo haya ki lali mere galon par...... , kahin aa na jaye kayamat...

Wo Tum Thi........

raat ko sapne me dekha to kya wo tum thi?
aankh khuli to laga jaise lahrayee tumhari latt thi,
sapne se kya main jaga,ya ayee sach me tum thi..

aaj fir 2 kap chai banayee,laga ki samne tum thi,
office jane se pahle tie lagane par atka,
to laga jaise saamne tum thi...

raste me chaat ka thela dekha to laga,
alhad si machalti sath tum thi,
jane kya hua mujhe aaj,
laga jaise har palmere jahan me tum thi...

pahli baarish me aaj na janekyo main khud bheega,
laga machalti sath me tum thi,
sharmayee ithlayee,khud me hi simatati,
ped se lipti shayad kya wo tum thi...

aaj jo nikale tumhare khat,
to laga peele panno se ayee khushboo me tum thi
sookhe laal gulab ki khoobsurati me,
laga aaj bhi sharmayee tum thi...

pal pal mere sath rahne ka vada kar,
tum kyo us din gumsum thi,
kya thi mere pyar me koi kami,
ya samjha na saki khud ko tum thi.....

lamhe !!

Un lamho ki mahak aaj bhi meri sanson main hai..

Palkain uthakar unhe na dekh pane ki kasak aaj bhi meri yaadon main hain ....
Pahli bar tumhe samne dekh kar , sharmane ki jhalak aaj bhi meri yaadon main h ..
Tumse apna nam kabhi na sun paane ki kasak aaj bhi meri yaaadon main hai ...

Un lamho ki mahak aaj bhi meri sanson main hai..

Saheli k peeche simatane ki sharam aaj bhi meri aankhon main h..
Pahli bar kisi se khud ko chipaane ki sharam aaj bhi mere gaalon main h ..

Un lamho ki mahak aaj bhi meri sanson main hai..

Alhadpan aur naadani ka wo pahla sabak aaj bhi mere khayalon main h ....
Un chand lamhon main apni hi khusbu ka ahsaas meri yadon main h..

Un lamho ki mahak aaj bhi meri sanson main hai..

Shayad socha bhi na hoga tumne ki tumahara zikra bhi meri yadon main h ...
na bhool paaungi kabhi , un chand lamhon ko kabhi , jinki kashish aaj bhi meri yaadon main hain ...

Un lamho ki mahak aaj bhi meri sanson main hai..

MAA....

ek ksheen kaya si . teri god main main aayi maa .......
aankain khuli to teri bahon main , aanchal main tere main samayi maa.........


ungli teri pakad k hi o ye bitiya teri hal payi maa....
andhere se darne par hamesha .. saye ki tarah sath tu hamesha aayi maa....


wo dheere se hansana , sab par pyar lutana tujhmain hi to dekha hai maine maa...
badon ka samman , tyag ki murti mere liye to tu hi hai maa...


kabhi jo kadam ladkhaye , ya koi danav mujhe sataye ,
jane kahan se tujhe aabhas ho jaye ,aur tu chupke se kah jaye .......
BETA AAGE BADH ......... MAIN HUN NA TERI MAA.......


jeevan k har rang ko jeena maine tujhse hi to seekha h maa ...
na rukna , na jhukna , na h peeche mudna ...teri hi to seekhain hai maa.


sab kuch sahkar , sabki sunkar ye mamta prem kahan se aaya h tujhmain maa..
nari k har gun ko khud main samete , meri pahchan tujhse h maa..


na chaha tune kabhi ki bitiya main dikhe beta kabhi ...
kya nari kahin kam h nar bhi to tujhse hi maa..


nareetva ko paribhashit kiya , bitiya ko bitiya banaya tune maa..
jeevan main naari hone ka gaurav tujhse hi paya h maine maa......


na kaha maine kabhi kuch ....bas aankon ko hi pad liya tune maa..
kabhi dorahe par na khade hone diya h mujhe tune maa..
meri har samsya ka samadhan to tujhse hi hai maa...
aanchal main tere h sukoon , na jaun kahin aur main MERI MAA........