Friday, January 7, 2011

YAADAIN .......

````zindagi aye zindagi !!
aa baithain kahin peepal ki chaown mein ....
aa sath tere main sametun kisse isi gawn mein .....


school k rikshe par ,bhaiya ji ke sang wo gane...
orange icecream  khane ko wo  pal pal hum bhage ..

padosi ki bagiya se phool churakar jo bacche sare bhage ..
mummy ki daannt se bachne ko na jane kya kya bahane mare ..

saheli k sang wo golgappe k thele par liye chatkare ...
isi bachpan main kiye humne doston se bade bade wade ....

kabhi socho to h sab ye kisse kahaniyan purane ....
zindagi k bikhrae pannon main samato to hain ye pyari yaadain ...


zindagi aye zindagi !!
aa baithain kahin peepal ki chaown mein ....
aa sath tere main sametun kisse isi gawn mein .....


are sawan main teejon par wo menhadi jo lagwayain ..
choti badi sabhi peepal k jhoolon par ladd jayain ...

kacche aam ki fuljhariyan aur ek imli k peeche ki wo ladaiyan ...
roothna manana ....fir hans kar hath milane  ki sunwayiyan ...

sabse chup k ..papa ki shirt aur mummy ki sari pahanane ki koshishain ...
pen se mooch banakar sheeshe main dekh bhagwanji se khud ko jaldi bada karne ki arziyaan ..

kabhi socho to h sab ye kisse kahaniyan purane ....
bade hokar yaad aati hain wo choti-2 pyari-2 naadaniyan ......

zindagi aye zindagi !!
aa baithain kahin peepal ki chaown mein ....
aa sath tere main sametun kisse isi gawn mein .....

Monday, January 3, 2011

O Kanha ................

chali aaungi us par ....awaz de kar to dekho .
chhorkar ye sara sansar .......pukar kar to dekho..


O KANHA !!

janu main khud ko RADHA ... shringar main to dekho..
astitva hua mera adhoora .. kiya h kya tumne aaj zara dekho ...
darpan bhi laage soona ......sab kuch hua paraya dekho...


palpal main sunun bansi teri...hua kya tera chamatkar to dekho..
chaunkun main kshan kshan ....KANHA!! kya tum hi ho mere dwar dekho..

CHAHA H !!

chaha h ...
teri aankhon main ho duniya meri ....
jan sakun kya h khwahish teri...

chaha h....


khwahish bane chahat meri...
de sakun tujhe jo h mannat teri..

chaha h ....

tere khwabon main ho parchayi meri..
sath chal sakun har kadam bankar sacchai teri..

chaha h ....


mere lafzon main hon khushhiyan teri ...
wada h....... karungi har pal ibadat teri....

chaha h ...

ban jaye tu takdeer meri....
meri ruh se bhi aaye khushbu teri...

chaha h ...

chahat meri bane takat teri...
jane tu ..sansain meri hain inayat teri ..



chaha h ..

ban jaun khun ki lali teri....
samajh le tere dil ki dhadkan main rahna h khwahish meri..