zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..
kya hum hote aur kya hote hamare aachar vichar..
kale safed pannon main simat jata har vichar ka aakar..
hamarai soch main bhi na hoti rangon ki pukar..
aise main..
zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..
prem, ghrina, chama, purusharth aur chamtkar ..
kaise lete ye hamare man main alag alag aakar..
kuch soch kar bhi shayad hum na vistrat kar pate apna sansar..
aise main ..
zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..
kya rah jata koi fark suhagan aur abhagan main is prakar..
ek sansar k sagar k is par hai to duja us par..
koi batao mujhe kya hota is duvidha ka upchar..
aise main ..
zara socho to na hote rang to kya hota sansaar ..
rangon k bina khushbu se hi to nhi hoti phoolon ki jhankar..
chand ki chandni main bhi to nahi safedi ki chamkar....
samet lo bahain faila k hamara hi hai ye rang bhara sansar....
No comments:
Post a Comment